Tuesday 18 September 2012

Mai Baton Hi Baton Me Mitra Sadanand Ko Bhul-Sa Gaya Tha. Vah Mujhe Na Jane Kitni Tantra-Vidya Ko Bataya .. Bahut-Sa Prayog Karke Bhi Dikhaye. Bhutni, Yakshini, NagKanya .. Aadi Itar Yoniyo Ki Siddhi Ki Satyta Mere Samne Siddh Kar Dikhaye. Ek Din Usne Apni Janma-Kundali Ki Vivechna Karne Ko Kaha. Mai Uski Janma Tithi Aadi Note Kar Apne Avas Laut Aya. Agle Din Puri Jankari Ka Vivran Ke Sath Uske Pas Ja Pahuncha. Vah Kundli Ki Faladesh Gaur Se Padh raha Tha ..Mere Man Me Halchal-sa Mach Hua Tha .. Sesh com


3 comments:

  1. Uske Janma Kundli Me Prem-Prasang Me Asafalta Ka Yog Tha Aur Atyant Nirasha Ke Bad Sanyasi Yog Spasht Tha. Maine Uski Hast Rekha Dekh Kar Is Bat Ko Aur Sapasht Ho Lena Chah Raha Tha.
    Maine Uski Maun-Adhyan Ko Bhang Karte Hue Toka-"Sadanand !!"
    Usne "oonhu" Kahakar Ishare Me Puchh Kya Hai. Maine Uski Hast-Rekha Dikhane Ko Kaha. Vah Hanskar Apna Hath Aage Kar Diye.
    Uske Hath Me, Hriday ReKha Madhyma Anguli Ke Pas Tanik Tuti Hui Si Aur Nich Jhuk Kar Mastishk Rekha Ko Chhu Rahi Thi. Yah Prem-Prasang Me ..Con

    ReplyDelete
  2. Asafalta Ka Chinha Hai. Maine Us se Puchh Hi Baitha-"SadaNand Tumhari Kundli Me Jo Yog Ban Rahe Hai, Vo To Maine Likh Hi Diye Hai. . Aur Ek Bat Ko Adhik Spasht Karne Ke Liye Maine Hast-Rekha Dekhi .. jis Se Spasht Hota Hai Ki, Tumhari Preyasi Tumhare Sath Dhokha Ki Hai aur Bad Me Tum Nirash Hokar Sanyasi Ban Gaye ... Kya Yah Sach Hai Mitra ...". Vah Sunkar Vah Gambhir Aur Maun Ho Gaya Aur Dhire-Dhire Chehre Par Udas-Khamosi-Si Chha Gayi. Vah Kuchh Na Bola. Sidha Uth Khada Hua aur "Aata Hun" ... Kahkar...

    ReplyDelete
  3. Smashan Se Purva Ki Jhadiyon Me Chala Gaya .. Bahut Der Bit Gaye Lekin Sadanand LautKar Nahi Aya .. Tab Mai Jhadiyo Ki Or Jakar Avaj Di .. Lekin Koi Uttar Na Mila .. Mai Smashan Me Idhar-udhar Kafi Dundha Lekin Vah Nahi Mila .. Ant Me, Sham Dhalne Par Mai Apne Avas Laut Par Laut Aaya. Agle Din Subah Punah Uski Khojbin ki Lekin Uska Kuchh Pata Na Chala .. Sahyad Vah Mujhse Rusht Ho Kar Chala Gaya Aur Aaj Varso Bad Bhi Laut Kar Nahi Aaya ..

    ReplyDelete